Saturday, 19 November 2011

yeh keh kr aaj oss sy b tal'luk toor aya ho
meri jaan muj ko ziddi larkiaan acchi nai lagtiin

nazar andaz krny ki saza deni thi tuj ko
teray dil ma uter jana zaroori ho gya tha

uthnay sy uthi hy na uthanay sy uthi hy
bethi hoi mehfil teray janay sy uthi hy

u kis terha katay ga kari dhoop ka safar
sar pe khiyal e yaar ki chader e lay chalain

na aana meri kabar pe hamrah e raqeeban
murdoon ko musliman jalaya nai krty

yeh sard raat, yeh neend ka bojh, yeh awargi
hum apny shehar ma hotay to ghar gaye hotay

or kia doon ma apni wafaoon ka sila
ab meray haal pe hanstay hain teray shehar k log

ghar ki tameer chahay jesi ho
oss ma ronay ki kuch jagha rakhna

u he mosam ki ada daikh k yaad aya
kis kadar jaldi badal jatay hain insan jana

na milay zehar to apna e lahoo peetay hain
jaam khali nai rehtay kabi sukratoon k

na khuda e mila, na wisal e sanam
na edher k rahay na udher k rahay

u dekhtay rehna osy accha nai mohsin
wo kanch ka pekar hy to pather teri ankhain

nama bar too e bta too ne to dekhay hoon gy
kesay hotay hain wo khat, jin k jawab atay hain

agar bazi ishk ki bazi hy jo chaho laga doo darr kesa
agar jeet gaye to kia kehna, haray b to bazi maat nai

gharoon pe naam thy namoon k sath ohday thy
bohat talash kia koi aadmi nai mila
khuda ki itni bari kainaat main ma ne
bas aik shaks ko manga mujhe wohe na mila

yeh na thi hamari kismat k wisal e yaar hota
agar or jeetay rehtay yahi intazar hota

aaj insan ka chehra to hy sooraj ki terha
rooh ma ghoor andhairoon k siwa kuch b nai

yaad hy ab tak mujhe wo bad hawasi ka saman
teray pehlay khat ko ghantoon choomta rehta tha ma

utha kr choom lee hain chand murjhai hoi kaliaan
na aye tum to u jashan e baharan kr lia ma ne

yeh teri pyaar ki batain fakat kissay puranay hain
bhala kachay gharay pe kon darya paar krta hy

wo bachpanay ki neend to ab khawab ho gai
kia umer thi k raat hoi or soo gaye

yeh saniha b mohabbat ma barha guzra
k oss ne haal b pocha to ankh bhar aai

roya hy iss kadar k ab ankhain gulab hain
wo shaks rooth kr b nasheela dekhai dy

wo muj ko choor gya to mujhe yaqeen aya
koi b shaks zaroori nai kisi k liye

wo to khushboo hy hawaoon ma bikher jaye ga
masla phool ka hy phool kidher jaye ga

yeh baat abi muj ko b maloom nai hy
pether edher atay hain odher q nai jatay

aik pather edher aya hy to iss soch ma hoo
meri iss shehar ma kis kis sy shanasai hy

yeh dil bura sahi, sar e bazar to na keh
aakhir too iss makan ma kuch din raha to hy

u he umeed delatay hain zamanay walay
kab palat'tay hain bhala choor k janay walay
too kabi daikh jhulastay hoye sehra ma darakht
kesay jaltay hain wafaoon ko nibhanay walay

yaad oss ki itni khoob nai meer baaz aa
naadan phir wo ji sy bhulaya na jaye ga

yeh mohabbat ki kahani nai merti lakin
log kirdar nibhatay hoye mar jatay hain

naseh ko bulao mera eman sanbhalay
phir daikh lia oss ne mohabbat ki nazar sy

iss nahi ka koi ilaj nahi
roz kehtay hain aap aaj nahi

nikal he aati hy koi na koi gunjaish
kisi ka ishk kabi aakhri nai hota

onn ankhoon ki sewa kr k hum ne jadoo seekh lia
jab b tabiyat ghabrati hy pather k ho jatay hain

yahan ma ziker nai kr raha makeenoon ka
kabi kabi dar o dewar marne lagtay hain

nakam e ishk hoon so mera dekhna b daikh
kam dekhta ho or ghazab dekhta ho ma

likhna meray mizar k katbay pe yeh haroof
merhoom zingdi ki hirasat ma marr gya

ek shaks kr raha hy abi tak wafa ka ziker
kaash iss zuban daraz ka munh nooch lay koi

naseh tuj ko khaber kia k mohabbat kia hy
roz aa jata hy, samjata hy youn hay youn hay

yeh mohabbat k mohal tameer krna choor dy
ma b shehzada nai hon, too b shehzadi nai

wo din bher kuch nai krty han, ma aaram krta ho
wo apna kaam krty hain, ma apna kaam krta ho

itnay pyaray or haseen ho jitna socha ja sakta hy
lakin sochnay ki b had hy kitna socha ja sakta hy

nahi maroon ga kisi jang ma yeh soch lia
ma ab ki bar mohabbat ma mara jaoon ga

nashay ki terha mohabbat b tark hoti nahi
jo aik bar karay ga wo bar bar karay ga

u talwar ko daikh raha ho khairat sy
jesay yeh sarr pehli bar uterna hy

itna be-tab na ho muj sy bichernay k liye
tuj ko ankhoon sy nai dil sy juda krna hy

rait k zarroon sy uthay kehkeshan tak aa gaye
daikh teri justujoo ma hum kahan tak aa gaye

agar ma sans b ahista sy na loon tabish
meray badan ma dararain c pernain lagti hain

daikh kr hum ko jo chup chaap chala jata hy
kabi iss shaks sy hum pyaar kiya krty thy

na kr yaqeen itna hath ki lakeeroon pe
kismat onn ki b hoti hy jin k hath nai hotay

aflas mohabbat mehar o wafa sab rasmi rasmi batain hain
her shaks khudi ki masti ma khud apni khatir jeeta hy

yaroo yeh door roof e basarat ka door hy
andhi uthay to oss ko ghata keh lia kro

mayoosiaan, mehroomiaan, nakamiaan
zindgi soz e tamana k siwa kuch b nai

na ma haseen, na wo khubru magar ek sath
humain jo dekhay to wo dekhta e reh jaye

chalay ho sath to himmat na harna wasif
k minzaloon ka tasawur meray safar ma nai

too jo kehta hy teray jesay kai or b hain
tuj ko dawa hy to phir khud sa dekha aik he shaks

yeh jo hay phool hathaili pe meray issy phool na jan
mera dil jisam sy bahir b to ho sakta hy

yeh saray haseen chehray meri tasbih k danay hain
nazar sy girtay rehtay hain ibadat hoti rehti hay

ab to ishk krna k jesay nokri krna hoa
pochtay hain iss ma kitna tajurba rakhta ho main

na kro behas haar jao gy
husan itni bri daleel nahi

yeh log or terha baat e nai suntay
ma kia kroon mujhe majma lagana perta hy

yeh zamana pochta hy k teray rafeeq b thy
ma kis zuban sy kahoon han magar karaye k

yeh jo pather hy aadmi tha kabi
iss ko kehtay hain intazar miaan

nahi nahi yeh khaber dushmanoon ne di ho gi
wo aye, aa k chalay b gaye, milay b nai

yani tarteeb e karam ka b saleeka tha osy
oss ne pather b uthaya mujhe pagal kr k

yeh guroor e husan hy ya koi tarz e khaas teri
k kisi sy kuch na sun'na na kisi ko kuch btana
yeh agar hy hoo teri to yeh mera b mashgila hy
kabi iss dy dil lagana, kabi oss sy dil lagana

yeh sach hy ma tujhe kehta tha zindgi apni
or aaj tuj sy bezar hoon zindgi ki terha

yeh soch kr ma aakhri saff pe chalay gya
shaid wo shaks door sy accha dekhai dy

u b hum door door rehtay thy u b seenoon ma kuch qadoorat thi
tum ne rasmann bhula dia werna iss takaluf ki kia zaroorat thi

abi bhoola nahi ma apni anperh maa ka wo jumla
k beta ilam ki dolat meri sansoon sy pyari hy

ek haqeeqat sahi firdoos ma hooroon ka wajood
husan e insan sy nimat loon to wahan tak dekhoon

nishani jo tumhain di thi juda hotay hoye ma ne
pehan k aa wohe kangan tujhe dil yaad krta hy

nukta waroon ne hum ko sujaya khaas bano or aam raho
mehfil mehfil suhbat rakho, duniya ma gum naam raho

aya tha emthan ma mazmoon husan per
perchay pe sab ne chehra tumhara bna diya

wo aainay ko b kharit ma daal deta hy
kisi kisi ko khuda yeh kamal deta hy

yaqeen jan k aglay janum ki aamad per
bana jo too kabi ranjha to heer hum hoon gy

yahi hy na tumhain hum sy bicher janay ki jaldi hy
kabi milna tumharay maslay ka hal nikalain gy

kroon ga kia jo mohabbat ma ho gya nakam
mujhe to or koi kaam b nahi aata

tum na haq naraz hoye ho, werna may khanay ka pta
hum ne her oss shaks sy pocha jis k nain nasheelay thy

yeh door wo hy k bethay raho chairag talay
sabi ko bazam ma dekho magar dekhai na do

yeh apna ishk zafar reh gya dharay ka dhara
karaya dar achanak makan choor gya

u to meray khuloos ki keemat b kam na thi
kuch kam shanas log thy dolat pe mar gaye

hum sy ek bar b jeeta hy na jeetay ga koi
wo to hum jaan k khaa letay hain maatain aksar

wo milnay aa rahay hain, jald laoo shaam ka manzar
yeh sooraj dafan kr dalo ghanay jangal ki chaoon ma

nazar andaaz krnay ki saza deni thi tuj ko
teray dil ma uter jana zaroori ho gya tha

yeh soch kr k wo khirki sy daikh ly shaid
gali ma khailtay bachay lara diye ma ne

yeh alag baat k ma choor chuka kooza gari
teray jesay to ma matti k bana sakta hoon

adab ki baat hy werna muneer socho to
jo shaks sunta hy bool b to sakta hy

yaad rakhay ga zamana hum ko
jesay hum niklay hain kam niklain gy

abhi nikli nai sardar ki miyat hawaili sy
jawan baitoon ma jagra ho gya jageer ki khatir

wo mujh sy poch raha tha btao kesa laga
tum aglay zakham ki choro yeh ghaoo kesa laga
ajab sawal kia andioon ne pattoon sy
shajer sy toot k girna btao kesa laga

utha kr toor dala aaina husan e raqabat sy
wo kal iss per biger bethay k hum sa dosra q ho

lakh hontoon pe tabasum ki kiran rakhta hoon
dard phir dard hy chehray sy numaya ho ga

apni tasweer ko ankhoon sy lagata kya hy
ek nazar meri terf b tera jata kya hy
too mera kuch nai lagta magar itna to bta
daikh k mujh ko teray zehan ma aata kya hy

yeh samaj k mana hy sach tumhari batoon ko
itnay khubsurat lab jhoot kesay bolain gy

too hy harjai to apna b yeh toor sahi
too nai or sahi or nai or sahi

roop to oss ko aisa detay duniya dekhti lakin hum
butt sazi e choor chukay thy jab wo pather raam hoa

nama ber too e suna kr na khaber k tukray
hoye jatay hain edher jan k jiger k tukray

oss sy miltay hoye chehray b bohat honay lagay
shehar k shehar sy sath nimetna mushkil

yeh adaa e be nayazi tujhy be wafa mubarik
mager aisi be rukhi kya k salam tak na phunchay

u he aa gaye aankh ma ansoo
jaiye aap koi baat nai

dil jeetnay k fun pe agar dastras na ho
dukhti ragoon ko chairna danishwari nai

ab ikhtiyatan mujhe khat na likha kro
meray batay ko perhna aa gya hy

aisa badla hoon teray shehar ka pani pee kr
jhoot boloon to nadamat nai hoti mujh ko

or to koi khaas baat nai
muskratay bri ada sy ho

wo jo ek baat bri talakh kahi thi oss ne
baat to yaad nai, yaad hy lehja oss ka

ab aa gaye ho to betho, wafa ki baat krain
wafa ki baat ma her be wafa sy krta hoon

yeh jo badal teray hontoon ki terf dekhtay hain
masla yeh hy k ek rang dhanak ma kam hy

yahi shar hain meri saltanat, iss fun ma hy mujhe aafiyat
meray kasa e shab o roz ma teray kaam ki koi shaay nai

ya husan e rafaqat ho ya tark e rafaqat ho
ya aap badal jain ya mujh ko badalnay dain

likhaaa rakha hy ehad e tark e ulfat
magar dil dastkhat krta nahi

yaro khuda ka khoof kro khush raha kro
dushman ki dosti sy daro khush raha kro

u mohabbat sy na dy meri mohabbat ka jawab
yeh saza sakhat hy kuch to rayat kr

yeh sara sar fazal o ehsan hy k main aya pasand
werna dargah ma teri kuch kam na thy khidmat guzar

woh aaj door hy kal paas aye ga
phir sy khuda milaye ga afsoos mat kro

yeh be rukhi yeh adaye sitam hum b pochain gy
hamari umer k hoo lo to hum b pochain gy

wo aye bazam ma itna to hum ne dekha meer
phir iss k bad charigoon ma roshni na rahi

tum phir na aa sako gy btana to tha mujhe
tum door ja k bas gaye ma dhoondta phira

rasam e ulfat e ijazat nai deti werna
hum b aisa tumhain bhoolain k sada yaad kro

raz e ulfat chupa k daikh lia
dil, tujhe jala k daikh lia
or kya dekhnay ko baqi hy
tujhe apna bna k daikh lia

nazae ki akhri hichki ko zara goor sy sun
zindgi bhar ka khulasa issi awaz ma hy

aahat pe kaan, dar pe nazar, dil ma dard sa
Allah kya ghari hy, ghari intazar ki

yahi bohat hy k betha hy sar jhukaye hoye
mujhe ujaar k wo shaks sharam sar to hy

nahi to aazma kr dekh lo, kesay badalta hy
tumharay muskaranay sy dil e nashad ka mosam

qadar rakhti na thi mata e dil
saray aalam ma ma dekha laya

yeh log tazkaray krty hain apny logoon k
ma kesay baat kroon, ab kahan sy laoon osy

hay mujhe talash oss ki jo kabi ka khoo chuka hy
mujhe justuju ka kr k kahiin door sy ishara

tasawer ma sada aao mager kuch terna seekho
tum aksar doob jatay ho meray ashkoon k toofan ma

iss ko muddat sy koi qais nai milta tha
meri dehleez pe sehra ko zaroorat laai

nahi pather nai mujh per dehkti aag bersaoo
mera yeh juram hy, ma roshni ka sath deta hoon

oss ko dekha nahi kaii din sy
aankh be kar he na ho jaye

yeh kashmakash alag hy k kis kashmakash ma hoon
aata nahi samaj bohat sochta hoon main

yahan kisi ko b kuch hasb e aarzoo na mila
kisi ko hum na milay or hum ko too na mila

oss k dil pe b kari ishk ma guzri ho gi
naam jis ne mohabbat ka saza rakha hy

wo teray pas sy chup chaap guzar kesay gya
dil e be tab qayamat na utha di too ne

wo tha fasala dua or mustajabi ma k dhoop mangnay jatay to aber aa jata
wo mujhe choor k jis shaks k pass gya brabri ka b hota to saber aa jata

iqrar kr gya kabi inkar kr gya
her baar ek azaab sy do chaar kr gya
rasta badal k b dekha mager wo shaks
dil ma uter k sari hadain paar kr gya

apna he samajtay hain dil e jana tumhain hum
dushman to kabi dil ma basaye nahi jatay

yeh chand sitaray mujhe krty hain naseehat
raatoon ko phira krty ho soo q nai jatay

yahan k log apny khawab dil ma rakhtay hain
teray shehar ki yeh ada acchi lagi hum ko

wo guftugu to saleekay sy kr raha tha hina
mager yah or baat k lehjay ma ek chuben ly kr

rasam e ulfat hy k miltay hain bichernay k liye
aisay mat chaho k judai ki rawayat na rahay

rawayatoon ko nibhanay ka tha saleeqa os ko
wo be wafai b krta raha wafa ki terha

ruk jain to hum baith k dam lain
badlay he chalay jatay hain halat musalsal

lo chal diye wo hum ko tasali diye bagair
ek chand chup gya hy ujala kiye bagair

rodad e mohabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

yazdan ne muskra k bri dair ma likha
ek lafz, arzoo meray dil ki kitab per

roz miltay hain dareechay ma naye phool mujhe
choor jata hy koi roz nishani apni

wohe din raat hain meray wohe bas khawab hain meray
qayamat sy guzarta hoon qayamat samnay rakh kr

roka anaa ne mujhe iss kawish e be sood sy
oss butt ko mera haal suna'nay nai diya

ab faisla naseeb pe chorain jo ho so ho
ab to hamaray hath ma kuch b nahi raha

nigah e yar ka kya hoi hoi na hoi
yeh dil ka dard hy pyaray gaya gaya na gaya

yeh nobat kal jo aani hy to shirminda nai hoon gy
marisam ikhtiyatann toor dena chahtay hain hum

manga krain gy ab sy dua hijar e yaar ki
aakhir ko dushmani hy dua ko asar k sath

yahi dil tha k tarasta tha marisam k liye
ab yahi tark e talluq k bahanay mangay

neend ka halka gulabi sa khumar ankhoon ma tha
u laga jesay wo shab ko dair tak soya nahi

teri nazar e nahi harf e aashna werna
yahan per her aik chehra kitab jesa hy

yeh b naya sitam hy hina to lagain gair
or oss ki daad chahain wo mujh ko dekha k hath

too ne kaha tha mujh ko meri jan choor dy
ab choor di to q tera chehra malool hy

chup chaap na ly jaye samunder ko utha kr
wo shaks jo sahil pe khara soch raha hy

hum na hoon gy to kon manaye ga tumhain
yeh buri baat hy her baat pe rootha na kro

udasiaan jo na latay to or kya krty
na jashan e shaula manatay to or kya krty
andhera mangnay aya tha roshni ki bheek
hum apna ghar na jalatay to or kya krty

na chora mujhe kisi wafa k kabil
meray mehboob ko iss baat ka sila chahiye

ashk behnay sy kam nahi hotay
aankh kitni ameer hoti hy

wafa hum he sy chahti thi duniya sari
bri uljhan thi kis kis sy wafa krty

yeh accha hy k aapas k bharam na tootnay pain
kabi b dostoon ko aazma kr kuch nahi milta

youn dabaye ja raha hoon khawaishain
jesay ek ehad e jawani or hy

apny hathoon ki lakeerain na badalnay paain
khush naseeboon sy bohat hath milaye ma ne

youn bnata hy wo dewar k phir gir jaye
meri tameer pe jo shaks lagaya gya hy

wo maza dia tarap ne k yeh aarzo hy ya raab
meray dono pehluouon ma dil e be qrar hota

sarwat o aish k aiwanoon ma aksar hum ne
siskiaan letay hoa hy dekha hy insanoon ko

na lut’ta din ko to kab raat ko u be khaber soota
raha khatka na choori ka dua deta hoon rahzan ko

yeh or baat k gul ki terha mehaktay rahay
wegerna rakhtay thy hum b mezaj kantoon ka

inn chirioon sy keh do nashaiman pe na utrain
iss door ka her shaks ukaboon ki terha hy

agar tum sy koi pochay btao zindgi kya hy
hathaili pe zara c khaak rakhna or uraa dena

aansouon ma jalti rahiin meri ankhain tamam raat jis k liye
sar e aam mujh ko sharabi keh gya wo shaks