Thursday, 9 January 2014

Roya hoon teri yaad main din raat musalsal
aise kabhi hoti nahi barsaat musalsal

kante ki terha hoon main raqeebon ki nazar main
rehte hain meri ghaat main che saat musalsal

Chehre ko nae dhab se wo karte hain musalla
bante hain meri maut ke halaat musalsal

ijlas ka unwan hay aklhas-o-murawwat
bad khoi main masroof hain hazrat musalsal

ham ne to koi cheez bhi ijad nahi ki
aate hain nazar un ke kamalaat musalsal

karte hain musawaat ki tableegh wo joon joon
barhte hi jate hain tabqaat musalsal

har roz kisi shehr main hote hain dhamake
rehti hai mere des main shabraat musalsal

mullaon ne Islam ke tukraat kiye hain
maslaat se phailate hain nafraat musalsal

har roz wo milte hain nae roop main mujh ko
perte hain meri sehat per asraat musalsal

peete nahi banti hay to phir jati kahan hay
ye zehan main uth te hain sawalat musalsal

umra k muwafiq hay fiza des mere kee
kat te hain jahan aesh main lamhat musalsal

Baba Abeer Abu Zari