Friday, 30 March 2012

umr guzregi imtehaan mein kya
daagh hi denge mujh ko daan mein kya


meri har baat be asar hi rahi
naqs hai kuch mere bayaan mein kya


mujh ko to koi tokta bhi nahin
yahi hota hai khandaan mein kya


apni mehroomiyan chhupate hain
hum ghareebon ki aan baan mein kya


khud ko jaana juda zammane se
aa gaya tha mere gumaan mein kya


bolte kyun nahin mere haqq mein
aablay paR gaye zubaan mein kya


dil kay aate hain jis ko dhyaan bohot
khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya


woh mile to yeh poochhna hai mujhe
ab bhi hun main teri amaan mein kya


yun jo takta hai aasmaan ko tu
koi rehta hai aasmaan mein kya


yeh mujhe chain kyun nahin paRta
aik hi shakhs tha jahan mein kya