Saturday, 19 November 2011

Aay khasa -e-khasaan-e-rusul waqt-e-dua hai
Ummat pe teri aa ke ajab waqt para hai

Jo deen bari shan se nikla tha watan se
Perdes mai wo aaj ghareeb-ul-ghurba hai

Wo deen huwi bazm-e-jahan jis se chiraghan
Ab uski majalis mai na batti na diya hai

Jo tafarqay aqwam k aya tha mitanay
is deen mai tafarqa ab aa kay para hai

Jis deen ne ghairon k thay dil aa ke milaye
Us deen mai khud bhai se ab bhai juda hai


By: Moulana Altaf Hussain Haali

No comments:

Post a Comment