Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai
Har aik lab per hain meri wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai
Baja hai k khaar hain lakin bahar ki ruut mein
Ya teh hai ab k hamain bhi nihaal hona hai
Tumhain khabar hi nahi tum tu laut jao gy
Tumhara hijar mein lamha bhi saal hona hai
Hamrai rooh per jab bhi azaab otrain gy
Tumhari yad ko is dil ki dhal hona hai
Kabhi tu roye ga wo bhi kisi ki bahoon mein
Kabhi tu is ki hansi ko zawaal hona haai
Milain ge hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyan
Bus intizar hai kab ya ma'mala hona hai
Har aik shaks chalay ga hamari rahoon par
Mohabataoon mein hamain wo misaal hona hai
Zamana jis k kham-o-paich mein oljh jaye
Hamari zaaat ko aisa sawaaal hona hai
Wasi yaqeen hai mujhy ko wo laut ay ga
osy bhi apnay kiaye ka malaaal honaaa hai
No comments:
Post a Comment