Saturday, 14 January 2012

Har Roz Kaha Se Layen Naya Dil......!


Hussan Waloon Ny To Andhair Macha Rakha Hai ... !!!
Khawahsh-e-wasl-e-yar ki pairvi karna.
ab chhor b day aye dil! shairy karna.!!!
Phir wohi udasi , wohi gham-e-zeest ka rona
aye dil-e-nadan! ab kya kahen tujh ko?????

Saturday, 7 January 2012

mangi wazahtain, na mangi koi daleel
dil ne to had hi kr di oss pe aitbaar ki


muddat hui oss shakas ki aai nai khaber
lagta hy qasid bhi raqeeboon se ja mila


hathoon ko dil ne khoon ki tarseel rok di
ek baar teri yaad pe ungli uthai thi


bethay ho ab tanha, hajoom e khalqat main
kaha tha na mohabbat ki adaa niraali hoti hy


hazaroon uljhanoon sy barhkr humain b aik uljhan hy
hamari yaad sy ghafil wo kesa lag raha ho ga


dil pe ithtiyar hota to tha magar
yeh teray ikhtiyar sy pehlay ki baat hy


samajh k maal e ganeemat mujhe
teri yadoon ne be-panah loota


aankh pur nam, dil heran o preshan hy ab tak
k itni taiz barish ma mera aashiana jala kesay


dharkan ki dugdagi pe kab sy hy mehv e raqs
dil thak k gir e jaye to tamasha to khatam ho


mout aye to din phirain
zindgi ne to maar dala hy


nigahain bolti hain be tahasha
mohabbat pagloon ki guftugu hy


muravatain hi sahi magar ek baat batlao
masroof ho ya bhoolna chah rahay ho


raakh hota hua badan mera subha k saweray main
mujh sy thak kr sawal krta hy, ishq krna zaroori tha kya



umar bhar rahay teri justuju ma lakin
tu na mila kisi kafir ko jannat ki terha


mani na meri aik b khud'sar hy tu aye dil!
ab khud e tarap, main to tera kuch nai lagta..!!


tapakti hy nigahoon sy, barasti hy adaoon sy
mohabbat kon kehta hy k pehchani nai jati

Thursday, 29 December 2011

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.