Friday, 18 November 2011

kehnay ko mohabbat hy lakin
ab aisi mohabbat kya krni
jo neend chura ly ankhoon sy
jo khawab dikha kr pholoon k
tabeer ma kantay dy jaye
jo gham ki kali raatoon sy
her aas ka jugnoo dy jaye
jo khawab sajati ankhoon ko
ansoo he ansoo dy jaye
jo mushkil kr dy jeenay ko
jo marnay ko aasan kry
wo dil jo pyar ka mander ko
wo yaadoon ko mehman kry
ab aisi mohabbat kya krni
jo umer ki nakdi ly jaye
or phir b jhooli khali ho
wo soorat dil ka roog bny
jo soorat dekhi bhali ho
jo qais bna dy insan ko
jo ranjha ko farhad kry
ab aisi mohabbat kya krni
jo khushioon ko barbad kry
Aao kabhi milne ko Bahana nahi acha,

Nazron mein raho meri , zamana nahi acha.

Mango jo khushi se to diL-0-jan Luta doon,

Youn chup k mere diL ko churana nahi acha.

Ham aaj bhi kaayiL hain usi baat k 'Ahmad'

Jab dil na miLain , hath miLana nahi acha.

Do din ki zindagi hai usay hans k guzaro,

In keemTi lamhon ko ganwana nahi acha.
 Aaj saqi sharab rehnay do…………

 Tashangi ka Azaab rehnay do…………

 Poonch dalo na Ankh say kajal…………

 Kuch to khanjar par Aab rehnay do…………

 Tum sanwaro apni zulfoon ko ...............

 Meri halat kharab rehnay do…………

 Chand badal main acha lagta hay…………

 Aadhe rukh pe naqab rehne do…………

 Un kay chehray ki Aaj bat ho jay…………

 Aaj zikar e ghulab rehnay do…………

 Un ki chokhat ko choom lo………… 'Ahmad'

 Baaqi saray sawab rehnay do…………
Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao


Bohat Tanha Hoon Mai Aaj Kaash Tum Aa Jao


Kabhi Khud Ko Itna Kamzour Na Hone Dia Mene


Par Aaj Bikhar Gaya Hoon Kaash Tum Aa Jao


Tum Se Miltay Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe


Chahiye Aaj Bahoon Ka Sahara Kaash Tum Aa Jao


Barson Se Jee Raha Hoon Bin Tere Aey-Jaan-e-Wafa


Aaj Nahi Guzar Raha Aik Pal Kaash Tum Aa Jao


Waqt Ki Raftaar Bhi Jaisay Tham Si Gai Hai


Tham Na Jaye Meri Saansey Kaash Tum Aa Jao
Aaj Hamdard Mujhe Yaad Puraney Aaye,

Phir Tassawur Mein wohi Guzrey Zamaney Aaye,

Yaad Aai Wo Sar_e_Shaam Ki Mehfil Apni,

Yaad Wo Raat k Kuch Khwaab Suhaney Aaye,

Ek Mudat Se Meri Aankh Ne dekha Hi Nhi,

Eik Manzar Jo Mera Chain Churaney Aaye,

Wo Agr Mujh Se Khafa Hai To Koi Baat Nhi,

Wo Kisi aur Se Milney K Bahaney Aaye,

Meri Itni Hi Tamana Hai Mere Sath Chaley,

Kab Ye Kehta Hon Mere Naaz Uthaney Aaye....!'
aaj badal barasta raha or too yaad aata raha
yeh dil b tarapta raha or too yaad aata raha

aaj socha tha tumhain bhula doon ga dil sy
kabi rota raha, kabi hansta raha or too yaad aata raha

phir shaam e tanhai meray galay lag kr bohat rooi
ma chup oss ko karata raha or too bohat yaad aata raha

or shab ki titliaan chali aaiin meri janib
ma nazar onn sy churata raha or too yaad aata raha

suna tha door reh kr bhulana hy bohat aasan
ma faslay barhata raha or too yaad aata raha

aaj mushkil tha rait k kachay gharoon ko toorna
ma kal bna k girata raha or too yaad aata raha

jab gali ma dekha barish ma khailtay bachoon ko
gum sum kamray ma betha raha or too yaad aata raha

na pocho, aaj din kesay guzara ma ne
ashk ankhoon ma chupata raha or too yaad aata raha