Friday, 25 November 2011

Ab Kise Chaahen Kise Dhunda Karen
Vo Bhi Aakhir Mil Gaya Ab Kya Karen

Halki Halki Baarishe Hoti Rahen
Ham Bhi Phoolon Ki Tarah Bhiga Karen

Aankh Moonde Us Gulabi Dhoop Main
Der Tak Baithe Use Socha Karen

Dil Mohabbat Deen Duniya Shayari
Har Dariche Se Tujhe Dekha Karen

Ghar Nayaa Kapde Naye Bartan Naye
In Puraane Kagazon Ka Kya Karen

Wednesday, 23 November 2011

gaye dinoon ka surag ly kr kidher sy aya kidher gya wo

اگر ہم حرام کو مکمل حرام تصور کریں ،اور اس سے اگر بچ نہں رہے ہیں تو اس پر استغفار کرِیں تو ہمارے کافی سارے مصایب کم ہو سکتے ہیں،اللہ سے ما نگتے رہو ،آہستہ آہستہ وہ ہماری کوتاہیوں کو ہمارے ارادے کے سامنے زیر کے دے گا، اور ہم رب چاہی زندگی کی ڈگر پر آ جاییں گے
کام کا سونپے جانا ایک اعزاز وتکریم ہے …نمائندگی ہے… نیابت ہے … حقیقی خلافت ہے… کہ فاعل ِحقیقی کا ہر کام اُس کے ذریعے آغازاور پھرانجام پاتا ہے جسے خلیفۃ اللہ کہتے ہیں۔ سنتِ الٰہیہ یہی ہے کہ وہ اپنے سب کام اپنے خلیفتہ الارض کے توسط سے کرتاہے…اور سنت ِ الٰہیہ کبھی تبدیل نہیں ہوتی ۔افعال الٰہی کا مرجع و منبع خلیفہ اللہ ہے۔ خلیفۃ اللہ وہ نقطۂ وسط ہے جس کے توسط سے منشائے ایزدی کا ظہور ہوتاہے … اور جس کے توسل سے مخلوق اپنے رب کے حضور درخواست گذار ہوتی ہے
اپنی ذات کو ،خود احتسابی کے لیے پیش کرنا بہت مشکل کام ہے ۔لیکن یہ ہی راہءنجات ہے
آپ کو چاہنے والے اور آپ کو بیماری سے نجات دلانے والے کسی اور شخص کے دل میں اگر دعا پیدا ہو گئ تو اللہ آپ کو ضرور شفا دے گا {حضرت واصف علی واصف}
تنقید…ایک لاتعلقی کا اظہار بھی ہے۔ تنقید کرنے والاتنقید کے ساتھ ساتھ دوسروں کو حقیر بھی سمجھ رہاہوتاہے… اور دوسروں کو حقیر سمجھنے والا‘لازم ہے کہ خود
کو برتر سمجھے۔ اسی رویئے کا نام غرور ہے
سیدنا علی کرم اللہ وجہہ الکریم نے فرمایا


* یہ انسان تعجب کے قابل ہے کہ وہ چربی سے دیکھتا ہے اور گوشت کے لوتھڑے سے بولتا ہے اور ہڈی سے سنتا ہے اور سوراخ سے سانس لیتا ہے۔


* اے بندے ! تو دنیا میں رہ لیکن دنیا کو خود میں (باطن میں) نہ آنے دینا۔ کیونکہ جیسے کشتی پانی میں رہتی ہے تو کنارے پہنچ جاتی ہے۔ لیکن اگر پانی کشتی میں آجائے تو ڈوب جاتی ہے۔


* اگر مفلسی و غربت مجھے کسی شکل یا وجود میں نظر آجائے تو ہر کفر و باطل سے پہلے میں اسے قتل کروں گا کیونکہ افلاس و غربت ہی وہ چیز ہے جو انسان کو سب سے زیادہ کفر کی طرف لے کر جاتی ہے۔


* سچائی میں اگر چہ خوف ھے مگر باعث نجات ھے ،اور جھوٹ میں‌گو اطمینان ہو گا مگر موجب ہلاکت ھے


* جانور میں خواہش اور فرشتوں میں عقل ہوتی ہے مگر انسان میں یہ دونوں ہوتی ہیںاگر وہ عقل کو دبا لے تو جانور اور اگر وہ خواہش کودبا لے تو فرشتہ


* الفاظ بندے کے غلام ہوتے ہیں مگر۔۔۔۔۔۔۔۔۔بولنے کے بعد بندہ لفظوں کا غلام ہو جاتا ہے


(نہج البلاغہ)
یہ نہ سوچو کہ اللہ دعا فورا قبول کیوں نہیں کرتے۔۔ یہ شکر ادا کرو کہ اللہ ہمارے گناہوں کی سزا فورا نہیں دیتے۔۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ
اے لوگو!


"اللہ کا "ذکر" کیا کرو،
کیونکہ اس میں "شفاء" ہے .اورلوگوں کے"عیب" بیان نہ کیا کرو،کیونکہ اس میں "بیماری" ہے ".

حضرت عمر رضی اللہ تعالی عنہ
محبت کوشش یا محنت سے حاصل نہیں ہوتی۔ یہ عطا ہے، نصیب ہے، بلکہ یہ بڑے ہی نصیب کی بات ہے۔ زمین کے سفر میں آگر کوئی چیز آسمانی ہے۔ تو وہ ”محبت” ہے۔
ذوقِ سفر کاپیدا کرنا قیادت کا فرض ہے۔قائد کو چاہیے کہ وہ قوم میں بیداری کی روح پھونک د ے۔ذوقِ سفر‘ عطائے رحمانی ہے۔رحمتِ حق کا دروازہ کھٹکھٹایا جائے کہ اے مہرباں اللہ!دے ہمیں کوئی حدی خواں جو زندگی پیدا کر دے اس قوم میں !!
بعض اوقات ہم اکثریت کے فیصلے پر سفر اختیار کرتے ہیں۔یہ سفر بھی مشکوک ہوتا ہے۔ اکثریت متلون ہو سکتی ہے‘بے خبر ہو سکتی ہے‘بے علم ہو سکتی ہے‘غافل ہو سکتی ہے‘آرام پرست اور آرام طلب ہو سکتی ہے۔جہاں اکثریت کاذب ہو ‘وہاں صداقت کا سفر کیسے ہو سکتا ہے۔اگر منافقین کی اکثریت کے حوالے کر دیا جائے‘تو بھی فیصلہ غلط ہو گا۔
آدھا رستہ طے کر آیا ،
اب کیا سوچ رہا ہے آخر !
انجانی منزل کی جانب
چلتا جائے
یا واپس ہو جائے راہی !
سوچ کے بھی انداز عجب ہیں
سوچ کے ہی آغاز کیا تھا
سَو رستوں میں ایک چنا تھا
اور اب سوچ ہی روک رہی ہے؟
آگے بھی کچھ تاریکی ہے
لوٹ کے جانا بھی مشکل ہے
سوچ کا سورج ڈوب رہا ہے
ایسے راہی کی منزل ہے … آدھا رست
محبت کرنے والوں کی صداقت اور ہے ‘ محرومِ محبت کا سچ اور ہے
محبت قطرے کو قلزم سے اشنا کر دیتی ھے۔ محبت کرنےوالے کسی اور مٹی سے بنے ھوتے ھیں۔ یہ خلوص کے پیکردنیا مین رہ کر بھی دنیا سے الگ دکھائی دیتے ھین۔ دراصل محبت زندگی اور کائنات کی انوکھی تشریح ھے۔
’’کُن‘‘ بیان ہے‘اولین امر و فعلِ الٰہی۔خالق و مالکِ کائنات کی زبان سے نکلا ہوا پہلا لفظ۔عدم ہو یا وجود…جہاں تک ’’کُن‘‘ کی حکمرانی ہے…بیان کے جھنڈے گڑے ہیں۔
وطن کی جان ہی پر بن گئی ہے
بڑی دولت تھی ہاتھوں سے لُٹی ہے


مسلماں کا لہو ارزاں ہوا ہے
چمن توحید کا ویراں ہوا ہے


مسلماں کو عطا کر زورِ حیدرؑ
صفِ دشمن کو تو زیر و زَبر کر!

Sunday, 20 November 2011



‎"کیا ملے واصف کی مستی کا سراغ


چشم ِ ساقی نے کیا روشن چراغ


ہر قدم پر اک نئی منزل ملی
...
گل کھلے ہیں یا ہمارے دل کے داغ


مستئ رنداں سے جھوم اٹھی زمیں


آسماں ہے سرنگوں جیسے ایاغ


دل میں آنکھیں ہیں تو ہے آنکھوں میں دل


باغ میں ہیں پھول اور پھولوں میں باغ"


(واصف علی واصف)
لوگوںمیں نیکی پیدا کرنے کی خواہش اچھی بات ہے لیکن اس پر اصرار کرنا اور تقاضا کرنا غلط ہے۔ جب کوئی کام نہ کر سکو تو اپنے سے بہتر کے سپرد کر کے خاموش ہو جایا کرو۔ مشیتِ الٰہی میں دخل نہ دینا۔ کیا جو شہید ہوئے وہ Powerless تھے؟ شہیدہونے کا کیا واقعہ ہے؟ مشیتِ ایزدی تھی۔ وہ شہیدِ تسلیم و رضا ہوئے۔
امیر آدمی کو چاہیے کہ وہ اپنی دولت کو چھپا جائے، اگر وہ دے نہیں سکتا تو کم از کم چھپا جائے تاکہ دوسروں کے لیے جن کے پاس دولت نہیں ہے یہ اتنا بڑا عذاب نہ بن جائے ، سخی انسان کو چاہیے کہ وہ اپنی سخاوت کو چھپا جائے، شہرت والے کو چاہیے کہ وہ اپنی شہرت کو ہضم کر لے اور چھپا جائے
  • Peak of knowledge is friendship and causing offence destroys it.

  • Do not violate the rights of your friend, because when deprives of his rights and privileges he will not remain your friend.

  • Do not develop friendship with the enemy of your friend otherwise your friend will turn into an enemy.

  • Unfortunate is the one who cannot gain a few sincere friends during his life and more unfortunate is the one who has gained them and then lost them (Through his deeds).

  • If you want to cease relation with your friend, then do not break off totally and completely, let your heart retain some consideration of him.

  • Do not run after him who tries to avoid you.
live among people ina a manner that when you die they weep over you and while u r alive they crave for your company.
Khoobsorati kaproun sey nai ilm o adab sey hoti ha.
baron ki ezat es lye karta hoon kiun k unki nekiyaan mujh se ziyada hain...aur choton se pyaar es lye karta hoon kiun k unke gunah mujh se kam hain.
Kabhi Apne dost ki sachai ka imtehan mat lo, kya pata us waqt wo kisi majboori me ho aur tum ek aacha dost kho betho.
Mujhe iss Dunia se kya lena jis ke halaal main hisab


aur


haram main azab hae.
Apni sochun ko pani ke qatroon se b zeyada shafaaf rakho

Kyun ke

Jis tarah qatroon se mil kar Darya banta hai Ussi tarah Sochun se Iman banta hai..
Qabar 4 awazien deti hai..

1.yahan andhera hai roshni lana.
2.kaak hon bistar lana.
3.tanhai hai dost lana.
4.Saanp bichoo hain dawa lana
Agar rizq
aqal-o-danish se milta
tou jaanwar aur
bewaqoof zinda hii na
rehte …
Saza Dene Main Der Karo Yahan Tak K Tumhara Ghussa Thanda Ho Jaye.
muje jannat se ziada masjid main bethna acha lagta hai
q k jannat main mera nafs khoosh hoga
jab k masjid main mera Rab khush hoga.
"hamesha sach bolo ta k baad main tuje qasam khana na pare."
Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q k agar tu Tang-dast howa to ye tujhey Chorh dengay, our agar tu Dolat-mand huwa tu tuje se Hasad Krenge.
Aye, Aftab (Sooraj) gawah rehna ke hamessah :Ali" ne tujhey ubhartay dekha hai magar too ne "Ali" ko kabhi sotay our Ibadat-e-ilahi se ghafil nahi paya.
Ager kisi ko ache tareeke se phechan-na hai to us se mulakat karo kiun k insaan apni zibaan k neeche chupa howa hota hai.
Bura dost koiley ki tarah hota hai .jab garam hota hai to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.
"zindagi ki asal khoubsurati ye nahi k aap kitney khush hain, balke zindagi ki real khoubsurati to ye hai ke doseray aap se kitnay khush han".
Jisne Kisi Ko Akele Me Nasihat Ki
Usne Usse Sanwar Dya.

Or Jisne Kisi Ko Sb K Samne Nasihat Ki
Usne Usko Mazed Bigar Dya.
A wise man first thinks and then speaks and a fool speaks first and then thinks.
Woh Gunah jis ka tumhe ranj ho Allah k nazdik us neki se behtar hai ji se tum mein ghuroor peda ho jaye.
Eik shakhs ne Hazrat Ali (R.A) se poocha.us shakhas k question aor Hazrat Ali (R.a) k answer is tarah thay.

Q. qareeb kya hae
A.Qayamat

Q. aor qareeb tar
A. Maot

Q. Ajeeb kya hae
A. Dunya

Q. aor ajeeb tar
A. talib-e-dunya

Q. wajib kya hae
A. Toba

Q. aor wajib tar
A. Gunah k foran baad toba

Q. Mushkil kya hae
A. qaber main uterna

Q. aor mushkil tar
A. amal k beghair uterna
  • Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
  • Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
  • Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy.
  • Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
  • Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
  • Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
  • Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
  • Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
  • Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa “Zarf” waisi Uss ki “Takhleeq”.
  • Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
  • Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
  • Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
  • Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay.
  • Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain.
  • Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi.
  • Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay.
  • Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi.
  • Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
  • Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay.
  • Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay.
  • Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.
  • Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain.
  • Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti.
  • Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay.
  • Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay.
  • Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay.
  • Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain.
  • Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se.
  • Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
  • Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy.
  • Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai.
  • AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya … tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare.
  • Agar kisi ka BANNA chatay ho to puri HAQEQAT se ban jao… Warna,apni Zaat mein aisi HAQIQAT peda kar lo k,koi HAQIQAT main tumhara ban jaye.
bechain u kisi ki mohabbat ma hum rahay
jesay k lamha lamha qayamat ma hum rahay

ansoo kisi ki yaad ma behtay chalay gaye
yani tamam raat qayamat ma hum rahay

dekha osy to rukh sy nigahain na hatt sakiin
kitni e dair kasrat e khairat ma hum rahay

hum sada dil thy iss ko mohabbat samaj lia
halan k bas fraib e mohabbat ma hum rahay

mohsin! kisi ne pyar sy pocha tha ek sawal
phir tamam umer es ki wazahat ma hum rahay
Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia,
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia..

Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per,
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia..

Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan,
Jo Aansoon Nay Aakhr nakaam Likh Dia..

Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein,
Kay Bewafa muhabat main Mera Naam Likh Dia..

Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein,
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia..

Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri,
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia...
Baandh lain haath pay seenay pe saja lain tumko
jee main aata hay ke taweez bana lain tumko

Phir tumhain roz sanwarain tumhain bharta dekhain
kion na aangan main chan-beli sa laga lain tumko

jaisay balon main koi phool chuna karta hay
ghar kay guldaan main phulon sa saja lain tumko

kaya ajab khawahishain uth-ti hain hamaray dil main !
kar kay munna sa hawaon main uchalain tumko

is qadar toot kay tum pay hamain payaar aata hay
apni baanhon main bharain, maar hi dalain tymko

kabhi khabon ki tarah aankhon ke parday main raho
kabhi khawahish ki tarah dil main bula lain tumko

hay tumhare liye kuch aisi aqeedat dil main
apnay hathon main duaon sa utha lain tumko

jaan denay ki ijazat bhi nahi detay ho
warna mar jain abhi mar kay mana lain tumko

jis tarah raat kay seenay main hay mahtaab ka noor
apnay tareek makaano main saja lain tumko

ab to bas aik hi khawahish hay kisi mor pay tum
hamko bikhray howe mil jao sambhlain tumko
گناہوں میں مبتلا انسان کا دعاؤں پر یقین نہیں رہتا - واصف علی واصف
جو بات آپ کے دل میں اتر گئی وہی آپ کا انجام ہے، اگر آپ کو موت آ جائے تو جس خیال


میں آپ مریں گے وہی آپ کی عاقبت ہے۔۔۔


(حضرت واصف علی واصف رحمۃ اللہ علیہ)
اپنی ہستی سے زیادہ اپنا نام نہ پھیلاو نہیں تو پریشان ہو جاو گے۔۔۔


(حضرت واصف علی واصف)
















Saturday, 19 November 2011

tark-e-ta'alukaat pe roya na tu na main...
Lakin ye kya k chain se, soya na tu na main...
ab k kiss se muhabbat hai tumay,
Ajj kal kiss kay liye pagal ho.....
Kahan aa ke rukne the raaste, Kahaan mor tha, ussay bhool jaa,
Joo mil gaya ussay yaad rakh, Joo nahi mila ussay bhool jaa,

Woh tere naseeb ki baarishein, Kisi aur chhat pe baras gayien,
Dil-e-bekhabbar meri baat sun, Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa,

Mein to gum thaa tere hi khayaal mein, Teri aass tere gumaan mein,
Saba keh gayi mere kaan mein, Mere paas aa ussay bhool jaa.

Kisi ki aankh mein nahien ashq-e-gham, Tere baad kuch bhi nahien hai kam,
Tujhe zindagi ne bhulaa diya, Tu bhi muskuraa ussay bhool jaa.

Na woh aankh hi teri aankh thi, Na woh khwaab hi tera khwaab tha,
Dil-e-muntazir to yeh kis liye tera jaagnaa, Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Yeh jo raat din ka hai khel saa, Ussay dekh iss pe yakeen naa kar,
Nahien aks koi bhi mustaqil sar-e-aaena, Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Jo bisaat-e-jaan hi ulatt gaya, Woh jo raaste mein palat gaya,
Ussay rokne se haasil kya, Ussay matt bulaa, ussay bhool ja.
chaan wada kar kay nai aoudaa,
Saanu taare ginaayee rakhda aye.....
Apney Hathoon se yun Chehrey ko chupatey kyon ho?
Mujh se sharmatey ho to samney atey kyon ho?

Tum bhi meri tarah kar bhi lo iqraar -e- wafa
Pyar kartey ho to phir chhupatey kyon ho?

Ashq ankhoon mein meri dekh kar rotey kyon ho?
Dil bhar ata hai to phir dil dukhatey kyon ho?

In se wabista hai jub mera muqaddar phir tum
Merey shanoon se yeh zulf uthatey kyon ho?

Roz Mar Mar ke mujhey jeeney ko kehtey kyon ho?
Milney atey ho to phir Laut jatey kyon ho?
wo jo sar jhukaye baithay hain,
Hamara dil churaye baithay hain.....
Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga
sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga

surmai ankhon k niche phul se khilne lage
kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga

bat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam
hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

chay main chini milana us ghari bhaya bahut
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga

dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use
vo mila to sab irade torna acha laga

be-irada lams ki vo sansani pyari lagi
kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga

nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal
teri yadon k jalo main ghumna acha laga

us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahun
jab bhi aya samne vo bevafa acha laga

Amjad Islam Amjad
Mosam K saath saaTh ßadLty HaiN Usk Ehad ...
Us pe ye Zidd Hai k Mujh pe Karo AitßaAr ßi...
Gar siyah bakht hi hona tha naseebo'n main meray

Zulf hota teray rukhsar per ya till hota
yeh keh kr aaj oss sy b tal'luk toor aya ho
meri jaan muj ko ziddi larkiaan acchi nai lagtiin

nazar andaz krny ki saza deni thi tuj ko
teray dil ma uter jana zaroori ho gya tha

uthnay sy uthi hy na uthanay sy uthi hy
bethi hoi mehfil teray janay sy uthi hy

u kis terha katay ga kari dhoop ka safar
sar pe khiyal e yaar ki chader e lay chalain

na aana meri kabar pe hamrah e raqeeban
murdoon ko musliman jalaya nai krty

yeh sard raat, yeh neend ka bojh, yeh awargi
hum apny shehar ma hotay to ghar gaye hotay

or kia doon ma apni wafaoon ka sila
ab meray haal pe hanstay hain teray shehar k log

ghar ki tameer chahay jesi ho
oss ma ronay ki kuch jagha rakhna

u he mosam ki ada daikh k yaad aya
kis kadar jaldi badal jatay hain insan jana

na milay zehar to apna e lahoo peetay hain
jaam khali nai rehtay kabi sukratoon k

na khuda e mila, na wisal e sanam
na edher k rahay na udher k rahay

u dekhtay rehna osy accha nai mohsin
wo kanch ka pekar hy to pather teri ankhain

nama bar too e bta too ne to dekhay hoon gy
kesay hotay hain wo khat, jin k jawab atay hain

agar bazi ishk ki bazi hy jo chaho laga doo darr kesa
agar jeet gaye to kia kehna, haray b to bazi maat nai

gharoon pe naam thy namoon k sath ohday thy
bohat talash kia koi aadmi nai mila
khuda ki itni bari kainaat main ma ne
bas aik shaks ko manga mujhe wohe na mila

yeh na thi hamari kismat k wisal e yaar hota
agar or jeetay rehtay yahi intazar hota

aaj insan ka chehra to hy sooraj ki terha
rooh ma ghoor andhairoon k siwa kuch b nai

yaad hy ab tak mujhe wo bad hawasi ka saman
teray pehlay khat ko ghantoon choomta rehta tha ma

utha kr choom lee hain chand murjhai hoi kaliaan
na aye tum to u jashan e baharan kr lia ma ne

yeh teri pyaar ki batain fakat kissay puranay hain
bhala kachay gharay pe kon darya paar krta hy

wo bachpanay ki neend to ab khawab ho gai
kia umer thi k raat hoi or soo gaye

yeh saniha b mohabbat ma barha guzra
k oss ne haal b pocha to ankh bhar aai

roya hy iss kadar k ab ankhain gulab hain
wo shaks rooth kr b nasheela dekhai dy

wo muj ko choor gya to mujhe yaqeen aya
koi b shaks zaroori nai kisi k liye

wo to khushboo hy hawaoon ma bikher jaye ga
masla phool ka hy phool kidher jaye ga

yeh baat abi muj ko b maloom nai hy
pether edher atay hain odher q nai jatay

aik pather edher aya hy to iss soch ma hoo
meri iss shehar ma kis kis sy shanasai hy

yeh dil bura sahi, sar e bazar to na keh
aakhir too iss makan ma kuch din raha to hy

u he umeed delatay hain zamanay walay
kab palat'tay hain bhala choor k janay walay
too kabi daikh jhulastay hoye sehra ma darakht
kesay jaltay hain wafaoon ko nibhanay walay

yaad oss ki itni khoob nai meer baaz aa
naadan phir wo ji sy bhulaya na jaye ga

yeh mohabbat ki kahani nai merti lakin
log kirdar nibhatay hoye mar jatay hain

naseh ko bulao mera eman sanbhalay
phir daikh lia oss ne mohabbat ki nazar sy

iss nahi ka koi ilaj nahi
roz kehtay hain aap aaj nahi

nikal he aati hy koi na koi gunjaish
kisi ka ishk kabi aakhri nai hota

onn ankhoon ki sewa kr k hum ne jadoo seekh lia
jab b tabiyat ghabrati hy pather k ho jatay hain

yahan ma ziker nai kr raha makeenoon ka
kabi kabi dar o dewar marne lagtay hain

nakam e ishk hoon so mera dekhna b daikh
kam dekhta ho or ghazab dekhta ho ma

likhna meray mizar k katbay pe yeh haroof
merhoom zingdi ki hirasat ma marr gya

ek shaks kr raha hy abi tak wafa ka ziker
kaash iss zuban daraz ka munh nooch lay koi

naseh tuj ko khaber kia k mohabbat kia hy
roz aa jata hy, samjata hy youn hay youn hay

yeh mohabbat k mohal tameer krna choor dy
ma b shehzada nai hon, too b shehzadi nai

wo din bher kuch nai krty han, ma aaram krta ho
wo apna kaam krty hain, ma apna kaam krta ho

itnay pyaray or haseen ho jitna socha ja sakta hy
lakin sochnay ki b had hy kitna socha ja sakta hy

nahi maroon ga kisi jang ma yeh soch lia
ma ab ki bar mohabbat ma mara jaoon ga

nashay ki terha mohabbat b tark hoti nahi
jo aik bar karay ga wo bar bar karay ga

u talwar ko daikh raha ho khairat sy
jesay yeh sarr pehli bar uterna hy

itna be-tab na ho muj sy bichernay k liye
tuj ko ankhoon sy nai dil sy juda krna hy

rait k zarroon sy uthay kehkeshan tak aa gaye
daikh teri justujoo ma hum kahan tak aa gaye

agar ma sans b ahista sy na loon tabish
meray badan ma dararain c pernain lagti hain

daikh kr hum ko jo chup chaap chala jata hy
kabi iss shaks sy hum pyaar kiya krty thy

na kr yaqeen itna hath ki lakeeroon pe
kismat onn ki b hoti hy jin k hath nai hotay

aflas mohabbat mehar o wafa sab rasmi rasmi batain hain
her shaks khudi ki masti ma khud apni khatir jeeta hy

yaroo yeh door roof e basarat ka door hy
andhi uthay to oss ko ghata keh lia kro

mayoosiaan, mehroomiaan, nakamiaan
zindgi soz e tamana k siwa kuch b nai

na ma haseen, na wo khubru magar ek sath
humain jo dekhay to wo dekhta e reh jaye

chalay ho sath to himmat na harna wasif
k minzaloon ka tasawur meray safar ma nai

too jo kehta hy teray jesay kai or b hain
tuj ko dawa hy to phir khud sa dekha aik he shaks

yeh jo hay phool hathaili pe meray issy phool na jan
mera dil jisam sy bahir b to ho sakta hy

yeh saray haseen chehray meri tasbih k danay hain
nazar sy girtay rehtay hain ibadat hoti rehti hay

ab to ishk krna k jesay nokri krna hoa
pochtay hain iss ma kitna tajurba rakhta ho main

na kro behas haar jao gy
husan itni bri daleel nahi

yeh log or terha baat e nai suntay
ma kia kroon mujhe majma lagana perta hy

yeh zamana pochta hy k teray rafeeq b thy
ma kis zuban sy kahoon han magar karaye k

yeh jo pather hy aadmi tha kabi
iss ko kehtay hain intazar miaan

nahi nahi yeh khaber dushmanoon ne di ho gi
wo aye, aa k chalay b gaye, milay b nai

yani tarteeb e karam ka b saleeka tha osy
oss ne pather b uthaya mujhe pagal kr k

yeh guroor e husan hy ya koi tarz e khaas teri
k kisi sy kuch na sun'na na kisi ko kuch btana
yeh agar hy hoo teri to yeh mera b mashgila hy
kabi iss dy dil lagana, kabi oss sy dil lagana

yeh sach hy ma tujhe kehta tha zindgi apni
or aaj tuj sy bezar hoon zindgi ki terha

yeh soch kr ma aakhri saff pe chalay gya
shaid wo shaks door sy accha dekhai dy

u b hum door door rehtay thy u b seenoon ma kuch qadoorat thi
tum ne rasmann bhula dia werna iss takaluf ki kia zaroorat thi

abi bhoola nahi ma apni anperh maa ka wo jumla
k beta ilam ki dolat meri sansoon sy pyari hy

ek haqeeqat sahi firdoos ma hooroon ka wajood
husan e insan sy nimat loon to wahan tak dekhoon

nishani jo tumhain di thi juda hotay hoye ma ne
pehan k aa wohe kangan tujhe dil yaad krta hy

nukta waroon ne hum ko sujaya khaas bano or aam raho
mehfil mehfil suhbat rakho, duniya ma gum naam raho

aya tha emthan ma mazmoon husan per
perchay pe sab ne chehra tumhara bna diya

wo aainay ko b kharit ma daal deta hy
kisi kisi ko khuda yeh kamal deta hy

yaqeen jan k aglay janum ki aamad per
bana jo too kabi ranjha to heer hum hoon gy

yahi hy na tumhain hum sy bicher janay ki jaldi hy
kabi milna tumharay maslay ka hal nikalain gy

kroon ga kia jo mohabbat ma ho gya nakam
mujhe to or koi kaam b nahi aata

tum na haq naraz hoye ho, werna may khanay ka pta
hum ne her oss shaks sy pocha jis k nain nasheelay thy

yeh door wo hy k bethay raho chairag talay
sabi ko bazam ma dekho magar dekhai na do

yeh apna ishk zafar reh gya dharay ka dhara
karaya dar achanak makan choor gya

u to meray khuloos ki keemat b kam na thi
kuch kam shanas log thy dolat pe mar gaye

hum sy ek bar b jeeta hy na jeetay ga koi
wo to hum jaan k khaa letay hain maatain aksar

wo milnay aa rahay hain, jald laoo shaam ka manzar
yeh sooraj dafan kr dalo ghanay jangal ki chaoon ma

nazar andaaz krnay ki saza deni thi tuj ko
teray dil ma uter jana zaroori ho gya tha

yeh soch kr k wo khirki sy daikh ly shaid
gali ma khailtay bachay lara diye ma ne

yeh alag baat k ma choor chuka kooza gari
teray jesay to ma matti k bana sakta hoon

adab ki baat hy werna muneer socho to
jo shaks sunta hy bool b to sakta hy

yaad rakhay ga zamana hum ko
jesay hum niklay hain kam niklain gy

abhi nikli nai sardar ki miyat hawaili sy
jawan baitoon ma jagra ho gya jageer ki khatir

wo mujh sy poch raha tha btao kesa laga
tum aglay zakham ki choro yeh ghaoo kesa laga
ajab sawal kia andioon ne pattoon sy
shajer sy toot k girna btao kesa laga

utha kr toor dala aaina husan e raqabat sy
wo kal iss per biger bethay k hum sa dosra q ho

lakh hontoon pe tabasum ki kiran rakhta hoon
dard phir dard hy chehray sy numaya ho ga

apni tasweer ko ankhoon sy lagata kya hy
ek nazar meri terf b tera jata kya hy
too mera kuch nai lagta magar itna to bta
daikh k mujh ko teray zehan ma aata kya hy

yeh samaj k mana hy sach tumhari batoon ko
itnay khubsurat lab jhoot kesay bolain gy

too hy harjai to apna b yeh toor sahi
too nai or sahi or nai or sahi

roop to oss ko aisa detay duniya dekhti lakin hum
butt sazi e choor chukay thy jab wo pather raam hoa

nama ber too e suna kr na khaber k tukray
hoye jatay hain edher jan k jiger k tukray

oss sy miltay hoye chehray b bohat honay lagay
shehar k shehar sy sath nimetna mushkil

yeh adaa e be nayazi tujhy be wafa mubarik
mager aisi be rukhi kya k salam tak na phunchay

u he aa gaye aankh ma ansoo
jaiye aap koi baat nai

dil jeetnay k fun pe agar dastras na ho
dukhti ragoon ko chairna danishwari nai

ab ikhtiyatan mujhe khat na likha kro
meray batay ko perhna aa gya hy

aisa badla hoon teray shehar ka pani pee kr
jhoot boloon to nadamat nai hoti mujh ko

or to koi khaas baat nai
muskratay bri ada sy ho

wo jo ek baat bri talakh kahi thi oss ne
baat to yaad nai, yaad hy lehja oss ka

ab aa gaye ho to betho, wafa ki baat krain
wafa ki baat ma her be wafa sy krta hoon

yeh jo badal teray hontoon ki terf dekhtay hain
masla yeh hy k ek rang dhanak ma kam hy

yahi shar hain meri saltanat, iss fun ma hy mujhe aafiyat
meray kasa e shab o roz ma teray kaam ki koi shaay nai

ya husan e rafaqat ho ya tark e rafaqat ho
ya aap badal jain ya mujh ko badalnay dain

likhaaa rakha hy ehad e tark e ulfat
magar dil dastkhat krta nahi

yaro khuda ka khoof kro khush raha kro
dushman ki dosti sy daro khush raha kro

u mohabbat sy na dy meri mohabbat ka jawab
yeh saza sakhat hy kuch to rayat kr

yeh sara sar fazal o ehsan hy k main aya pasand
werna dargah ma teri kuch kam na thy khidmat guzar

woh aaj door hy kal paas aye ga
phir sy khuda milaye ga afsoos mat kro

yeh be rukhi yeh adaye sitam hum b pochain gy
hamari umer k hoo lo to hum b pochain gy

wo aye bazam ma itna to hum ne dekha meer
phir iss k bad charigoon ma roshni na rahi

tum phir na aa sako gy btana to tha mujhe
tum door ja k bas gaye ma dhoondta phira

rasam e ulfat e ijazat nai deti werna
hum b aisa tumhain bhoolain k sada yaad kro

raz e ulfat chupa k daikh lia
dil, tujhe jala k daikh lia
or kya dekhnay ko baqi hy
tujhe apna bna k daikh lia

nazae ki akhri hichki ko zara goor sy sun
zindgi bhar ka khulasa issi awaz ma hy

aahat pe kaan, dar pe nazar, dil ma dard sa
Allah kya ghari hy, ghari intazar ki

yahi bohat hy k betha hy sar jhukaye hoye
mujhe ujaar k wo shaks sharam sar to hy

nahi to aazma kr dekh lo, kesay badalta hy
tumharay muskaranay sy dil e nashad ka mosam

qadar rakhti na thi mata e dil
saray aalam ma ma dekha laya

yeh log tazkaray krty hain apny logoon k
ma kesay baat kroon, ab kahan sy laoon osy

hay mujhe talash oss ki jo kabi ka khoo chuka hy
mujhe justuju ka kr k kahiin door sy ishara

tasawer ma sada aao mager kuch terna seekho
tum aksar doob jatay ho meray ashkoon k toofan ma

iss ko muddat sy koi qais nai milta tha
meri dehleez pe sehra ko zaroorat laai

nahi pather nai mujh per dehkti aag bersaoo
mera yeh juram hy, ma roshni ka sath deta hoon

oss ko dekha nahi kaii din sy
aankh be kar he na ho jaye

yeh kashmakash alag hy k kis kashmakash ma hoon
aata nahi samaj bohat sochta hoon main

yahan kisi ko b kuch hasb e aarzoo na mila
kisi ko hum na milay or hum ko too na mila

oss k dil pe b kari ishk ma guzri ho gi
naam jis ne mohabbat ka saza rakha hy

wo teray pas sy chup chaap guzar kesay gya
dil e be tab qayamat na utha di too ne

wo tha fasala dua or mustajabi ma k dhoop mangnay jatay to aber aa jata
wo mujhe choor k jis shaks k pass gya brabri ka b hota to saber aa jata

iqrar kr gya kabi inkar kr gya
her baar ek azaab sy do chaar kr gya
rasta badal k b dekha mager wo shaks
dil ma uter k sari hadain paar kr gya

apna he samajtay hain dil e jana tumhain hum
dushman to kabi dil ma basaye nahi jatay

yeh chand sitaray mujhe krty hain naseehat
raatoon ko phira krty ho soo q nai jatay

yahan k log apny khawab dil ma rakhtay hain
teray shehar ki yeh ada acchi lagi hum ko

wo guftugu to saleekay sy kr raha tha hina
mager yah or baat k lehjay ma ek chuben ly kr

rasam e ulfat hy k miltay hain bichernay k liye
aisay mat chaho k judai ki rawayat na rahay

rawayatoon ko nibhanay ka tha saleeqa os ko
wo be wafai b krta raha wafa ki terha

ruk jain to hum baith k dam lain
badlay he chalay jatay hain halat musalsal

lo chal diye wo hum ko tasali diye bagair
ek chand chup gya hy ujala kiye bagair

rodad e mohabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

yazdan ne muskra k bri dair ma likha
ek lafz, arzoo meray dil ki kitab per

roz miltay hain dareechay ma naye phool mujhe
choor jata hy koi roz nishani apni

wohe din raat hain meray wohe bas khawab hain meray
qayamat sy guzarta hoon qayamat samnay rakh kr

roka anaa ne mujhe iss kawish e be sood sy
oss butt ko mera haal suna'nay nai diya

ab faisla naseeb pe chorain jo ho so ho
ab to hamaray hath ma kuch b nahi raha

nigah e yar ka kya hoi hoi na hoi
yeh dil ka dard hy pyaray gaya gaya na gaya

yeh nobat kal jo aani hy to shirminda nai hoon gy
marisam ikhtiyatann toor dena chahtay hain hum

manga krain gy ab sy dua hijar e yaar ki
aakhir ko dushmani hy dua ko asar k sath

yahi dil tha k tarasta tha marisam k liye
ab yahi tark e talluq k bahanay mangay

neend ka halka gulabi sa khumar ankhoon ma tha
u laga jesay wo shab ko dair tak soya nahi

teri nazar e nahi harf e aashna werna
yahan per her aik chehra kitab jesa hy

yeh b naya sitam hy hina to lagain gair
or oss ki daad chahain wo mujh ko dekha k hath

too ne kaha tha mujh ko meri jan choor dy
ab choor di to q tera chehra malool hy

chup chaap na ly jaye samunder ko utha kr
wo shaks jo sahil pe khara soch raha hy

hum na hoon gy to kon manaye ga tumhain
yeh buri baat hy her baat pe rootha na kro

udasiaan jo na latay to or kya krty
na jashan e shaula manatay to or kya krty
andhera mangnay aya tha roshni ki bheek
hum apna ghar na jalatay to or kya krty

na chora mujhe kisi wafa k kabil
meray mehboob ko iss baat ka sila chahiye

ashk behnay sy kam nahi hotay
aankh kitni ameer hoti hy

wafa hum he sy chahti thi duniya sari
bri uljhan thi kis kis sy wafa krty

yeh accha hy k aapas k bharam na tootnay pain
kabi b dostoon ko aazma kr kuch nahi milta

youn dabaye ja raha hoon khawaishain
jesay ek ehad e jawani or hy

apny hathoon ki lakeerain na badalnay paain
khush naseeboon sy bohat hath milaye ma ne

youn bnata hy wo dewar k phir gir jaye
meri tameer pe jo shaks lagaya gya hy

wo maza dia tarap ne k yeh aarzo hy ya raab
meray dono pehluouon ma dil e be qrar hota

sarwat o aish k aiwanoon ma aksar hum ne
siskiaan letay hoa hy dekha hy insanoon ko

na lut’ta din ko to kab raat ko u be khaber soota
raha khatka na choori ka dua deta hoon rahzan ko

yeh or baat k gul ki terha mehaktay rahay
wegerna rakhtay thy hum b mezaj kantoon ka

inn chirioon sy keh do nashaiman pe na utrain
iss door ka her shaks ukaboon ki terha hy

agar tum sy koi pochay btao zindgi kya hy
hathaili pe zara c khaak rakhna or uraa dena

aansouon ma jalti rahiin meri ankhain tamam raat jis k liye
sar e aam mujh ko sharabi keh gya wo shaks
Aye Muhabbat!! teri qismat ke tujhe muft mile....

hum se dana jo kamalat kiya karte the...
khushk mitti ko bhi imaraat kiya karte the...
Aye muhabbat! yeh tera bakhat keh bin mol mile...
hum se Anmol jo heero'n mein tulla karte the...
hum se munh-zoor jo bhoonchal utha rakhte the...
Aye muhabbat meri hum tere mujreem thaire...
hum jaise log jo sawalat kiya krte the....
hum jo su baat ki aik baat kiya karte the...
teri taihweel mein aane se zara paihle tak...
hum bhi is shaiher mein izat se raha karte the...
hum bigar'te tu kai kaam bana karte the...
aur ab teri sakhawat ke ghane saaye mein...
khalqat-e-shaiher ko hum zindah tamasha thaire...
Aye muhabbat! zara Andaz badal le apna....
tujh ko aaiyndah bhi ashaaq ka khoo'n peena hai..

hum tu mar jayenge tujh ko tu mager jeena hai.....
Iqbal! teray des ka kia haal sunaon?


Dehqan to mer khap gaya ab kis ko jagaon
Milta hai kahan khosha-e-gandum k jalaoon
Shaheen k hai gunbad-e-shahi pe basera
kanjushk farumaya ko ab kis se laraoon
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Her darhi mai tinka hai,her aankh mai shehteer
Momin ki nigahon se badalti nahi taqdeer
Touheed ki talwaar se khali hain niyamein
Ab zoq-e-yaqeen se nahi katti koi zanjeer
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Shaheen ka jahan aaj kargis ka jahan hai
Milti huwi mulla se mujahid ki azan hai
Mana k sitaron se bhi agay hain jahan aur
Shaheen mai magar taqat-e-perwaz kahan hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Mer mer ki silon se koi bezaar nahi hai
Rehnay ko haram mai koi tayyar nahi hai
Kehnay ko her ek shakhs musalman hai laikin
Dekho to kahin naam ko kirdar nahi hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Bebaki-o-haq goi se ghabrata hai momin
Makkari aur rubahi per itrata hai momin
Jis rizq se perwaz mai kotahi ka der ho
Wo rizq baray shoq se ab khata hai momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Peda kabhi hoti thi sehar jis ki azan se
Is banda-e-momin ko mai ab laon kahan se
Wo sajda zameen jis se laraz jati thi yaro!
Ek baar tha hum chut gaye is bar-e-giraan se
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Jhagray hain yahan sooboob k zaton k nasab k
ugtay hain tah-e-saya-e- gul khar ghazab k
ye des hai sab ka magar is ka nahi koi
Is k tan-e-khasta pe to ab dant hain sab k
Iqbal tere des ka kia haal sunaon?

Mehmoodon ki saf aaj ayazon se paray hai
Jamhoor se sultani-e-jamhoor daray hai
Thamay huwe daman hai yahan per jo khudi ka
Mer mer k jiye hai kabhi ji ji ker meray hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Dekho to zara mehlon k perdon ko utha ker
Shamsheer-o-sanan rakhi hain taqoun pe saja ker
Atay hain nazer masnad-e-shahi pe rangilay
Taqdeer-e-umam so gai taoos per aa ker
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Makkari-o-Ayyari-o-ghaddari-o-heejan
Ab banta hai in char anasir se musalman
Qari issay kehna to bari baat hai yaaro
Is ne to kabhi khol ker dekha nahi Quran
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Kirdar ka guftar ka A'mal ka momin
Qail nahi aisay kisi janjaal ka momin
Serhad ka hai momin koi bangal ka momin
Dhoonday se bhi milta nahi Quran ka momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

(By:Ameer-ul-islam Hashmi)
Aay khasa -e-khasaan-e-rusul waqt-e-dua hai
Ummat pe teri aa ke ajab waqt para hai

Jo deen bari shan se nikla tha watan se
Perdes mai wo aaj ghareeb-ul-ghurba hai

Wo deen huwi bazm-e-jahan jis se chiraghan
Ab uski majalis mai na batti na diya hai

Jo tafarqay aqwam k aya tha mitanay
is deen mai tafarqa ab aa kay para hai

Jis deen ne ghairon k thay dil aa ke milaye
Us deen mai khud bhai se ab bhai juda hai


By: Moulana Altaf Hussain Haali
Aye kash k aisa ho jaye

jise chaha tum ne har lamha

jise socha tum ne her lamha

wo shaks tumhara ho jaye

tum jis sy mohabbat krte ho

jise daikh k jeetay marte ho

jise khoo denay sy darty ho

wo shaks tumhara ho jaye

wo jis ki yaadoon ma khoo kr

tum waqt guzara krty ho

wo jis ki batoon ma khoo kr

khud sy b kinara krty ho

in tanha tanha ratoon ma

tum jis ko pukara krty ho

wo shaks tumhara ho jaye

aye kash k aisa ho jaye
Ay Musafir Mere Mehboob Ki Tasveer Bana,
Tujh Se Ban Jaye To Bigri Hui Taqdeer Bana..!

Zulf Aisi Ho Keh Barsaat Bhi Pani Mange,
Surkh Honton Se Har Ek Phool Jawani Mangy..!

Nargisi Aankhon Mein Kajal K Wohi Teer Bana,
Ay Musawir Mere Mehboob Ki Tasveer Bana..!

Main Tujhe Husn K Andaaz Sikhaun Kese,
Apni Aakhein Tere Chehry Pe Lagaon Kese
Tera Dar Chhor K Jaon To Jaon Kese..!

Jis Mein Uljha Rahon Din Raat Woh Zanjeer Bana,
Ay Musawir Mere Mehboob Ki Tasveer Bana
Aye dost!
jab tum yaad aatay ho
tumhari batian, sharartain, narazgiaan, roothna manana,
wo halki halki barish ma bheegna,
wo akhatay gana,
ek dosray k sath aana jana,
dukh sukh ma sath nibhana,
tumhara mil kr bicher jana,
BOHAT YAAD AATA HY!!!!
apny hathoon sy u chehray ko chupatay q ho
mujh sy sharmatay ho to samnay aatay q ho

tum kabi meri terha kr b lo iqrar e wafa
pyar krty ho to pyar chupatay q ho

ashk ankhoon ma meri daikh k rotay ho tum b
dil bhar aata hy to phir dil ko dhukhatay q ho

iss sy wabasta hy mera muqadar phir tum
meray shanoon sy yeh zulaf hatatay q ho

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehtay ho
milnay aatay ho to phir loat k jatay q ho
Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
Dono ka bhala hota dono he sanwar jatay

Miltay to yeh acha tha jeevan ki musafat mein
Kuch faslay kam hotay kuch roz guzar jatay

Doori bhi aas hay ik ghanimat to hay warna
Jo aas pay jeetay hein wo log bikhar jatay hein

Kuch roz judai k iss haal mein bhi guzray
Hanstay howay rodetay ,rotay howay ghar jatay

Manzil hay na thikana hay acha hay kuch bhi nahi
Ruktay to kaha ruktay ,jatay to kaha jatay

Guzra hay yeh aalam bhi tanhai k jungle mein
Bay khof phira kartay phir aap he dar jatay

Bayganggi yeh kasii aay dost maza tab tha
Kuch log idar atay kuch log udar jatay

Aik saath raha karna phir us par guraiz "Ahmad"
Maqsood thi doori to meelon say guzar jatay.
Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahta hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahta hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahta hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chukein hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahta hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahta hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahta hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahta hoon

Jo mujh se rooth chuke hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahta hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahta hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahta hoon
Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai

Har aik lab per hain meri wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai

Baja hai k khaar hain lakin bahar ki ruut mein
Ya teh hai ab k hamain bhi nihaal hona hai

Tumhain khabar hi nahi tum tu laut jao gy
Tumhara hijar mein lamha bhi saal hona hai

Hamrai rooh per jab bhi azaab otrain gy
Tumhari yad ko is dil ki dhal hona hai

Kabhi tu roye ga wo bhi kisi ki bahoon mein
Kabhi tu is ki hansi ko zawaal hona haai

Milain ge hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyan
Bus intizar hai kab ya ma'mala hona hai

Har aik shaks chalay ga hamari rahoon par
Mohabataoon mein hamain wo misaal hona hai

Zamana jis k kham-o-paich mein oljh jaye
Hamari zaaat ko aisa sawaaal hona hai

Wasi yaqeen hai mujhy ko wo laut ay ga
osy bhi apnay kiaye ka malaaal honaaa hai

Friday, 18 November 2011

ab dil ko sanbhalain ya gham e dil ko sanbhalain
fursat nai itni b k do ashk baha lain

betab ho tum b to judai ma kisi ki
mumkin ho to aa jao shab e hijer mana lain

tum or kro zulaf e preshan ko preshan
hum b dil e betab ko dewana bna lain

bethay hain iss andaz sy me-kash sar e mehfil
saqi ka ishara ho to sagar ko uchalain

aye ehal e junoon aao k weran hain shab o roz
ujri hui mehfil ko phir ek bar jama lain
kehnay ko mohabbat hy lakin
ab aisi mohabbat kya krni
jo neend chura ly ankhoon sy
jo khawab dikha kr pholoon k
tabeer ma kantay dy jaye
jo gham ki kali raatoon sy
her aas ka jugnoo dy jaye
jo khawab sajati ankhoon ko
ansoo he ansoo dy jaye
jo mushkil kr dy jeenay ko
jo marnay ko aasan kry
wo dil jo pyar ka mander ko
wo yaadoon ko mehman kry
ab aisi mohabbat kya krni
jo umer ki nakdi ly jaye
or phir b jhooli khali ho
wo soorat dil ka roog bny
jo soorat dekhi bhali ho
jo qais bna dy insan ko
jo ranjha ko farhad kry
ab aisi mohabbat kya krni
jo khushioon ko barbad kry
Aao kabhi milne ko Bahana nahi acha,

Nazron mein raho meri , zamana nahi acha.

Mango jo khushi se to diL-0-jan Luta doon,

Youn chup k mere diL ko churana nahi acha.

Ham aaj bhi kaayiL hain usi baat k 'Ahmad'

Jab dil na miLain , hath miLana nahi acha.

Do din ki zindagi hai usay hans k guzaro,

In keemTi lamhon ko ganwana nahi acha.
 Aaj saqi sharab rehnay do…………

 Tashangi ka Azaab rehnay do…………

 Poonch dalo na Ankh say kajal…………

 Kuch to khanjar par Aab rehnay do…………

 Tum sanwaro apni zulfoon ko ...............

 Meri halat kharab rehnay do…………

 Chand badal main acha lagta hay…………

 Aadhe rukh pe naqab rehne do…………

 Un kay chehray ki Aaj bat ho jay…………

 Aaj zikar e ghulab rehnay do…………

 Un ki chokhat ko choom lo………… 'Ahmad'

 Baaqi saray sawab rehnay do…………
Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao


Bohat Tanha Hoon Mai Aaj Kaash Tum Aa Jao


Kabhi Khud Ko Itna Kamzour Na Hone Dia Mene


Par Aaj Bikhar Gaya Hoon Kaash Tum Aa Jao


Tum Se Miltay Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe


Chahiye Aaj Bahoon Ka Sahara Kaash Tum Aa Jao


Barson Se Jee Raha Hoon Bin Tere Aey-Jaan-e-Wafa


Aaj Nahi Guzar Raha Aik Pal Kaash Tum Aa Jao


Waqt Ki Raftaar Bhi Jaisay Tham Si Gai Hai


Tham Na Jaye Meri Saansey Kaash Tum Aa Jao
Aaj Hamdard Mujhe Yaad Puraney Aaye,

Phir Tassawur Mein wohi Guzrey Zamaney Aaye,

Yaad Aai Wo Sar_e_Shaam Ki Mehfil Apni,

Yaad Wo Raat k Kuch Khwaab Suhaney Aaye,

Ek Mudat Se Meri Aankh Ne dekha Hi Nhi,

Eik Manzar Jo Mera Chain Churaney Aaye,

Wo Agr Mujh Se Khafa Hai To Koi Baat Nhi,

Wo Kisi aur Se Milney K Bahaney Aaye,

Meri Itni Hi Tamana Hai Mere Sath Chaley,

Kab Ye Kehta Hon Mere Naaz Uthaney Aaye....!'
aaj badal barasta raha or too yaad aata raha
yeh dil b tarapta raha or too yaad aata raha

aaj socha tha tumhain bhula doon ga dil sy
kabi rota raha, kabi hansta raha or too yaad aata raha

phir shaam e tanhai meray galay lag kr bohat rooi
ma chup oss ko karata raha or too bohat yaad aata raha

or shab ki titliaan chali aaiin meri janib
ma nazar onn sy churata raha or too yaad aata raha

suna tha door reh kr bhulana hy bohat aasan
ma faslay barhata raha or too yaad aata raha

aaj mushkil tha rait k kachay gharoon ko toorna
ma kal bna k girata raha or too yaad aata raha

jab gali ma dekha barish ma khailtay bachoon ko
gum sum kamray ma betha raha or too yaad aata raha

na pocho, aaj din kesay guzara ma ne
ashk ankhoon ma chupata raha or too yaad aata raha